Monday, June 21, 2021

A BEAUTIFUL POEM BY POET : JAGDISH GUPT Qeemat Ka sawal: --"Achcha To Aaj Aap Mujh Se Meri Qeemat Puchne Aye Hai'n Bahut khoob ! Aieeye Tashreef Layiye , kya Mei'n Aap Se Bhi Aap Ki Qeemat Puch Sakti Hun?! " .** --Kyun Nahin Bakhushi Puchiye Par Jo Mein Kahunga Use Aap Sun Nahin Sakengi. * --"Aisa Kyun Sochte Hain Aap Ek Baar Jee Kada Karke Kah Daliye Jo Bhi Kahna Ho " *. --To Leejiye Suniye Meri Qeemat Hai Us Aadmi Ka Sar Jo Aap Ki Aankhon Mein Mujh Se Zyada Samaya Hua Hai. Mujhe Yaqeen Hai Ki Wo Mein Khud Nahin Hun! .* ... Usne To Nahin Par Uski ChalChalati Akhon Ne Jawab Diya -- -- Aap Kyun Aapna Sar Mujhse Qalam Karwana Chahte Hain Itna Bada Gunah Karke Agar Mein Usko Laakar Aap Ko De Hi Dun To Kya Aap Mujhe Ya Use Pehchan Ne Layak Rah Jayenge? .** ... Is Bezuban Dahakti Awaaz Ki Aanch Se Mera Yaqeen Maum Ki Tarah Peeghal Kar Apne Aap Neeche Dhalne Laga . .** Meine Dekha- Mere Dhad Se Mera Sar Apne Aap Alag Hokar Uske Qadamon Par Ja Gira Hai Aur Mere Kandhon Par Ek Dusra Sar Ug Aaya Hai Ye Kahte Hue --- * Aap Ki Qeemat Mein Bhi Nahin Hun ! *

0 Comments:

Post a Comment

<< Home