A BEAUTIFUL POEM BY POET : JAGDISH GUPT
Qeemat Ka sawal:
--"Achcha To Aaj Aap Mujh Se Meri Qeemat Puchne Aye Hai'n
Bahut khoob ! Aieeye Tashreef Layiye ,
kya Mei'n Aap Se Bhi Aap Ki Qeemat Puch Sakti Hun?! "
Qeemat Ka sawal:
--"Achcha To Aaj Aap Mujh Se Meri Qeemat Puchne Aye Hai'n
Bahut khoob ! Aieeye Tashreef Layiye ,
kya Mei'n Aap Se Bhi Aap Ki Qeemat Puch Sakti Hun?! "
--Kyun Nahin Bakhushi Puchiye
Par Jo Mein Kahunga Use Aap Sun Nahin Sakengi.
--"Aisa Kyun Sochte Hain Aap
Ek Baar Jee Kada Karke Kah Daliye Jo Bhi Kahna Ho "
--To Leejiye Suniye
Meri Qeemat Hai Us Aadmi Ka Sar
Jo Aap Ki Aankhon Mein Mujh Se Zyada Samaya Hua Hai.
Mujhe Yaqeen Hai Ki Wo Mein Khud Nahin Hun!
... Usne To Nahin
Par Uski ChalChalati Akhon Ne Jawab Diya --
-- Aap Kyun Aapna Sar Mujhse Qalam Karwana Chahte Hain
Itna Bada Gunah Karke
Agar Mein Usko Laakar Aap Ko De Hi Dun
To Kya Aap Mujhe
Ya Use
Pehchan Ne Layak Rah Jayenge?
... Is Bezuban Dahakti Awaaz Ki Aanch Se
Mera Yaqeen Maum Ki Tarah Peeghal Kar
Apne Aap Neeche Dhalne Laga .
Meine Dekha- Mere Dhad Se
Mera Sar Apne Aap Alag Hokar
Uske Qadamon Par Ja Gira Hai
Aur Mere Kandhon Par Ek Dusra Sar Ug Aaya Hai
Ye Kahte Hue ---
* Aap Ki Qeemat Mein Bhi Nahin Hun ! *🖤ჱ ⁀⋱‿✻✿.√,•*´✿

0 Comments:
Post a Comment
<< Home